Khwaab !

Khwaab !
ye khwaab bhi na bda azeeb lafz hai!!
bahot had tak admi ko lachaar bna deta hai kyuki jab apke khwaab apki vastavikta jeevan kee leek pe na chal kar ,hawaaon me udaan bharne lagte hain tab aap kai hadd tak mayush aur lachaar nazar aate hain.
Lekin Ghar-Parivar ka pyaar,duniya ki chaka-chaundh,sureele geet kuchh man halka kar dete hain lekin khwaab poore na hone ki jo kasak hoti hai vo har dum saath rehti hai !!
bs yahi kasak Irshya , Gussa,pagalpan,safed balon ke roop me bahar nikalti hai aur zindgi me Gambheerta aur udaasi de jati hai !
jiss se admi porri zindgi nhi chhoot pata hai aur bs apno zindgi ki patari pe chalta rehta hai ….
“Aur sirf apne khwaabon ki udaano ko ungali ke ishaare se kabhi chaand to kabhi sitaaron ke paass pahunchata hai !!!! Image